Book 2 chap 25
Wafaa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liyaa
Ke Teri Baat Ki Aur Teraa Naam Bhi Na Liyaa
Khushaa Wo Log K Mehroom E Iltefaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz E Saadgi Na Liyaa
Ahmed Faraz
**************
Saamnay ka manzar dekh kar jo aankhain adh khulien thien , dar ke maaray poori khul gayien thien. Wo jhatkay se seat par seedhi uth beth gayi.
Kahien uski aankhain dhoka to nahien khaa rahien..?
Usay samajh nahien aa raha tha ke wo kya karay.... Ghar pe phone karay..?
ya.. Ya police ko..?
Uska dil zor zor se dharakna shuroo ho gaya tha.
Saamnay road ke kinaaray par Mateen uski taraf peeth kiye khara tha aur uskay saamnay do teen aadmi kharay thay jo wahien pe khari jeep se utray thay. Par Aayat ke dar ki wajah wahan sirf unki mojoodgi nahien thi par unmain se ek ke kaandhay par latakti ak47 thi jisay wo Aadmi kuchh is andaaz main thaamay huway tha jesay abhi uska istamaal bhi kar de ga.
" kon hain ye log...!? Aur Mateen un se kya baat kar raha hai...!? Wo wahan khara hi kyun hai..? Kuchh kar kyun nahien raha..? Ya bhaag kyun nahien raha...!?
Kahien wo unsay behas to nahien kar raha..?
Ye mard itnay be waqoof kyun hotay hain.... ?
aaj kal zara si mazaahmat par ye log to maar bhi detay hain.
kahien ye Mateen ko....?! wo apnay andar ye anjaana saa khuaf mehsoos karnay lagi.
pareshaani aur jhillahat main sawaalaat uskay dimaag main ghoomtay uski pareshaani main mazeed izaafa kar rahay thay.
Wo khud kya karay..? Bhaag jaaye...?
Shayad koyi madad ke liye mil jaaye...
nahien..! wo Mateen ko yahan akelay chhor kar nahien jaa sakti.....
ye shayad daaku hain , agar un logon ne Mateen ko maar diya to...? Naa chaahtay huway bhi wo Mateen ke liye dar mehsoos kar rahi thi.
Kya karoon....!.?
Us ne faisla kar liya . Is se pehlay ke koyi bara haadsa ho jaaye , wo apnay haathon main pehni sonay ki chundiyaan aur anguthi unhain de degi aur minnat karay gi ke wo log unhain bina kisi nuqsaan ke jaanay de۔ shayad wo ye sub lenay ke baad khamoshi se bina nuqsaan ke chalay jaaien....?
Jaldi jaldi dupattay ko sir par achhi tarhaan se orhnay ke baad wo ek dum se gaardi se utar khari ho gayi. par uskay kuchh bhi kehnay ya karnay se pehlay darwaaza khulnay aur bund honay ki awaaz par Mateen samait un teen aadmiyin ka dhiyaan bhi uski taraf mura tha.
Aayat ki nazrain Mateen ke saath kharay us aadmi par thehar gayien jinkay honton par shafeeq aur dostana muskurahat thi.
Ek lumhay ke liye Aayat ko shadeed herat ka jhatkaa laga.
ye shakhs to kisi bhi angle se daaku wagaira har giz nahien lag raha. Aayat ne nazazrain ghuma kar Mateen ki taraf dekha jo muskuraata huwa ussi ki taraf aa raha tha.
Aayat ko ab bhi samajh nahien aa raha tha ke ye sub kya ho raha hai...?
Ye manzar to kisi bhi tarhaan se loot maar ka nahien lag raha...
agar ye koyi daaku nahien...! to phir ye log kon hain..?!
"Tum uth gayi..? chalo achha huwa , in se milo ye khuda bakhsh chacha hain , jin kay baaray main Murad chachu ne bataya tha. Ye humain lenay aaye hain.." Mateen ne Khuda bakhsh chacha ki taraf ishara kartay huway unka taarruf karaaya jo Mateen ke peechhay hi wahan aa gaye thay.
Aayat unkay baaray main to bilkul bhool hi gayi thi.
" Assalam u alaikum..." Aayat ne bamushkil apni sharmindagi ko chhupaatay huway ikhlaaqan salaam kiya , jis ka jawaab unhon ne Aayat ke sar par haath rakh ke dua ke saath diya.
Jub Aayat ke dimaag se dar ke saaye chhatay to Aayat ne unhain naye zaawiye se dekha.
Safaid cotton ka suit , pishawari chappal aur sar par sindhi topi pehnay wo kisi bhi tarhaan se daaku ya luteray nahien lag rahay thay. Phir usnay kesay andaaza lagaa liya ke ye log daaku hain...?!
Usay apni bewaqoofi par be panaah gussay aur sharmindagi ne aa ghera.
Taaruf ke baad wo waapas apni jeep ki taraf barh gaye aur Mateen ne bhi apni driving seat sambhaal li. Aayat khamoshi se aakay apni seat par beth gayi. Mateen ne Prado start ki aur apnay saamnay chalti jeep ke peechhay barhaanay laga.
Aayat ne time dekha to din ke ek baj chukay thay. Wo subha sirf chaaye peekay nikli thi aur ab usay bhook mehsoos ho rahi thi. Par ye baat Mateen se kehnay se behtar Wo bhook se marna pasand karay gi. Wo is shakhs ka koyi bhi ahsaan koyi bhi madad nahien chaahti. Usnay hutdharmi se sochaa.
Safar phir se mukammal khaamoshi ki nazar ho gaya tha. Joon joon waqt guzar raha tha Aayat ki bhook main izaafa ho raha tha , par phir bhi wo boli kuchh nahien aur bazaahir wo be niyaaz baahar guzartay rastay ko dekhnay lagi jahan ab gandum ki faslon ki shurooat ho chuki thi.
Aayat unki taraf dekhtay apni bhook ko nazar andaaz karnay ki koshish karti rahi. Par wo shayad is baat se bhi anjaan thi ke laa shaoori tor par wo apna haath qpnay pait par bhi rakhay huwi thi. Jesay usay sehla rahi ho. Aur ye sub driving kartay Mateen ne bhi dekh liya tha. Aur wo uski kefiyat bhi samajh gaya tha.
Mateen ne bina kuchh kahay back seat se ek bari snacks aur sandwiches se bhari shopper uthaayi aur Aayat ki goad main rakh di.
Jub Aayat khuaabe khargosh ke mazay le rahi thi tab Mateen ne ye sub raastay se ek patrol pump mart se khareed liye thay.
Aayat heraangi se apni goad main rakhi us shopper ko dekhnay lagi. Jis ke transparent honay ki wajah se us kay andar ki cheezay saaf dikhaayi de rahien thien.
Par Aayat ne unhain nikaalnay ki zehmat nahien ki sirf khaamosh bethi rahi.
Mateen jaanta tha ke wo agar Aayat se in main se kuchh nikaal kar khaanay ko kahay ga to uska jawaab sirf ye hoga ke wo shopper gaardi se baahar phaink di jaaye gi. Is liye wo sirf khamoshi se Aayat ko sochon main garq dekhta raha.
Wo yaqeenan isi kashmakash main thi ke is main se sandwich wagaira nikaal kar khaaye , ya is shopper ko Mateen ke moon par maaray.
Aur Mateen dua kar raha tha ke wo doosra option na choose karay.
Paanchh minute tak sochnay ke baad jub Aayat ne khamoshi se usmain se sandwich nikaal kar khaana shuroo kiya to Mateen ne dil hi dil main Allah ka shukar kiya ke is baar Aayat ne uskay saamnay apni nafrat ka izhaar nahien kiya.
Taqreeban ek ghantay ke mazeed safar ke baad wo log gaaoon ki hadood main daakhil ho chukay thay. Gaaoon ke kachay pakkay makaanaat kachay road aur wahan ki kuchh khuli to kuchh sukri galiyaan Mateen ke liye ek mukammal nayi dunya paish kar rahay thay. Wo dunya jo usnay sirf documentries wagaira main dekhi thi kabhi.
Bachay gaardi ko dekh kar apna khail wagaira chhor kar gaardi ke saath saath shor machaatay bhaag rahay thay. Unkay chehray ki khushi dekh aisa lag raha tha jesay unhain ek naya aur qeemti khilona mil gaya ho.
Mateen ne unsay nazrain hataa kar Aayat ke taassur dekhnay chaahay. Aur uski tawaqqa ke baraks Aayat ki aankhon main shanaasaayi thi. Jesay ye sub uskay liye kuchh naya na ho.
Mateen ko in raston ka kuchh pata nahi chal raha tha wo sirf Allah bakhsh ki gaardi ke peechhay chal raha tha. Jo Tang galiyon aur kachi sarak se guzarti huwi aagay ek bari haweli numa ghar ke aagay ruki.
Jub Mateen ne chaaron taraf dekha to pata chala ke wo ab gaaoon se nikal chukay thay aur uskay saamnay ye haweli gaaon se thora baahar ki taraf khet khaliyaan ke baraabar main bani huwi hai. Aur uskay chaaron taraf phaily haryaali uski khoobsurti main mazeed izaafa kiye huway hai.
Saamnay ka main gate khula aur unki gaardiyaan andar daakhil huwien. Mateen ko laga jesay wo kisi qilay main daakhil ho gaya ho.
Wasee sehan jahaan ek konay par ghanaa aam ka darkht lagaa huwa tha , jis ki ek moti shaakh se latakta rassi waala jhoola hawaa ke zor se lehraa raha tha.
Wo sub gaardi se utar chukay thay,
Mateen wahaan kharaa apnay chaaron taraf nazrain ghumaata har ek cheez ka jaaiza leta raha . Ye wo jaga thi jahan uskay baba ka bachpan guzraa tha. Yahan uskay baba ki muskraahatain phaili hain.
Aur is khayal se hi Mateen ko is anjaan jaga main bhi apnaaiyat si mehsoos honay lagi.
" haashim! safaayi to ho chuki hai na chhotay saaien ke liye...? " Allah bakhs ki awaaz par Mateen apni dunya se baahar niklaa tha. Aur uski nazar wahaan aaye ek naye shakhs par pari .
Agar Mateen ka andaaza sahi hai to is naye shakhs ki umar 50 ke lag bhag ki hogi wo shakhs Puraanay neelay rung ke suit aur shaanay par mela sa rangeen kapraa rakhay . Baanchhay kholay apni khushi ka izhaar kar raha tha.
"Dekho , Murad ne khaas taaqeed ki hai ke in dono bachon ko kisi bhi qisim ki pareshaani na ho . "
" Waderay ko bolo aap fikar hi mat karo , humaray Wahab ka beta aaya hai , inki khidmat main hum koyi kasar nahi chhorain ge. " Us shakhs ki aankhain bataa rahi thien ke wo Mateen ki wahan aamad par kis qadar khush hai.
Mateen ne muskuratay huway unka shukrya adaa kiya.
Kucch hi dair main wo sub dining room main lunch karnay bethay huway thay. Unka saamaan ek kamray main pohnchaa diya gaya tha.
Aayat ab bhi apnay chaaron taraf ke dar o deewaar ko apnay zehan main basaa rahi thi , Usay is ghar ki banaawat bohat achhi lagi thi.
Aisa nahien tha ke ye ghar koyi mehal wagaira jesa bana huwa tha, puraanay tarz par bani is imaarat ki har dar o deewaar se ek ghar ki jhalak dikhaayi de rahi thi , kisi makaan ki nahien.
Khuda bakhsh ne bataaya tha ke yahan Haashim chacha ke ilaawa unki bewi , ek beta aur beti bhi mulaazimat kartay hain , wahi hain jo Murad sahab ki mojoodgi aur gair mojoodgi main is ghar ke har kaam ko sambhaalay huway hain.
" bahu tum ne kuchh khaaya hi nahi, is main se kuchh pasand nahi aa raha to kuch aur bana doon..?" Haashim chacha ki biwi fatima ne Aayat ki khaanay main dilchaspi na dekhtay huway pur khuloos andaaz main kaha to Aayat sharmida si ho gayi.
" Nahi...! Khana bohat achha hai... darasal maine raastay main sandwich kha liya tha is liye..." Aayat ne sharmida hotay huway bataya. Mateen khamoshi se uski taraf dekhtay huway apnay khaanay ka maza le raha tha.
Wo to abhi se yahan ke maahol main bas chuka tha. Par Aayat ko baar baar kisi na kisi baat par ghabraata to kabhi sharminda hota dekh usay uska ye naya roop bhi achha lag raha tha.
" Haashim chacha , Chachu ke dost aa gaye hain kya..?" Mateen ne khaana khatam karkay apni jagaah se uthtay huway poochha.
" jee Mateen baba , wo autaaq main aap ka intzaar kar rahay hain. Unkay saath do aur log bhi hain wo sub aap ka hi intzaar kar rahay hain. "
" unhon ne khaana khaaya.." Wash basin se haath dhonay ke baad wo bahar nikaltay huway poochh raha tha. Haashim bhi uskay peechhay peechhay chalta bahar ja raha tha.
" jee jee unhon ne bhi abhi abhi khana khatam kiya hai.. meray yahaan hotay huway aap ko kisi bhi cheez ke liye pareshaan honay ki zarooat hi nahi hogi.." Wo baray fakhriyaa andaaz main bolta jaa raha tha. Unki is umar main bhi aisi khush mizaaji par Mateen ke honton par muskaan phail gayi thi.
Aayat, Mateen aur Haashim chacha ko jaata huwa dekhnay lagi.
" Mateen baba bilkul apnay daada ke jesay dikhtay hain. Wahi nain naksh wahi qad..." Fatima chachi ki aawaaz par Aayat ne unki taraf dekha. Unki nazrain saamnay darwaazay ki taraf thien jahan se abhi abhi Mateen aur Haashim chacha bahar gaye thay.
" aaj agar wahab baba Mateen ko dekhtay to kitna fakhar mehsoos kartay. Par Allah ne unhain ye din dekhna naseeb nahi kiya... Mujhay to aaj bhi yaqeen nahien hota ke wo ab is dunya main nahien rahay...." Faatima chachi ki aankhon se aansoo beh kar unkay jhurri daar gaalon se phisal kar girnay lagay.
Shayad wo bohat sharminda mehsoos kartay...
is soch ke saath wo unhain khamoshi se dekhti rahi.
" Main bhi kya udaas baatain le kar beth gayi... chalo ab tum kuchh dair aaraam kar lo , bohat lumbay safar se aayi ho thaki hogi. " Aayat ko apni taraf khaamoshi se dekhta dekh Faatima chachi ne apnay dupattay se apnay aansu khushk kartay huway bheegi muskurahat ke saath kaha.
Aayat waqayi thaki huwi mehsoos kar rahi thi is liye jee kehtay huway uth khari huwi aur unkay humraah chalti huwi beech khuli chhat ke baraamday se guzartay huway ek kamray main aagayi , jahan unka samaan pehlay hi pohnchaa diya gaya tha.
Kamray main daakhil hotay hi uski nazar seedhi saamnay king size bed par gayi, usnay nazrain ghuma kar pooray kamray main dekha par kamray main bed ke saamnay do chairs aur ek chhoti table aur ek taraf dressing aur cupboard ke ilaawa aisi koyi cheez nahien thi jis par soya jaa sakay.
" tum jub nahaa dho lo main jub tak nasreen ko bhaijti hoo taakay wo tumharay kapray almaari main rakhwa degi. " ye kehnay ke baad fatima chaachi wahaan se chali gayien. Lekin Aayat wahien sunn khari reh gayi.
Uskay dimaag main ek hi baat ghoom rahi thi.
Main Mateen ke saath bed share nahi karoon gi...!
hargiz nahien......!
ye sub usi ne kiya hai...! main jaanti hoon uskay iraaday.. samajhta kya hai wo apnay aap ko..!!" sochtay huway uskay jism main gussay ki shadeed lehrain dornay lagien. Isi asnaa main nasreen bhi aa gayi.
" assalaam u alaikum..." Halki awaaz aur narm lehjay main kiye gaye salaam par Aayat apni kefiyat se nikal kar us narm awaaz ki taraf mutwajja huwi.
Safaid dupatta jis par neelay rung ke chhotay chhotay phoolon ki karhaayi ki gayi thi khoobsurat chehray ke gird lipta huwa nooraani rungat main aur izaafa kar raha tha.
" Wa Alaikum assalaam..." apni androoni kefiyat ko chhupaatay huway Aayat ne halki muskaan ke saath wesi hi narmi se salaam ka jawaab diya tha.
*******
salaam *
Itni late updates ke liye sorry par main waaqayi update kar nahi paa rahi thi , warna itna late na hota , par khushi huwi ke aaj bhi aap sub mujhay itni respect detay hain warna mujhay to laga tha message box main rude comments ke dhair lagay hongay 😅😅