Chapter 28| Tu Dard bhi, Tu Dawa bhi

4.6K 306 847
                                    

Gaari Aarish drive kar raha tha, Ruhaan ki grdn aur baazu raggein abhi bhi ubhri thi. Uska ghussa kisi surat thanda nai ho raha tha aur baazu mein dard ki shadeed teesain uskay chehrey pe waaziyah thi. Woh musalsal sheeshay se bahir khud ko qaabu mein karney ki koshish kar raha tha. Safoorah jese pathar ki hi bni peechey khamoshi se bethi thi.

"Jaan se maarna tha aaj usey?"
Aarish ka lehja kitna badal gya tha inn 3 saalo mein. Woh shrarat aur ghair sanjeedgi waqqi nai rahi thi. Woh tanney tassurrat kay saath ghussey mein bola tha.

"Tu beech mein na aata toh bilkul !" Kia dhittai thi. Ussi keh lehja mein bola tha.

"Aapne jo uska haal kia hai agr woh marr gya toh case aap par hi baney ga. Lawyer ho yeh nai pata!"

"Toh kia karta? Tere khyaal se kia karna chahiye tha. Woh 2 takkey ka aadmi meri hi biwi ko mere mun pe bakwaas kar kay jaaye aur mein uskay galey mein haar daalun!"

Ruhaan dhaara tha.

"Mein sirf itna keh raha hun..... "

"Ek baat bta phir tu aakhri thappar se bcha kuchaa jabra kyoun torr kay aya hai uska ? Ambulance bula leni thi..!"

Aarish ne rear mirror se Safoorah ko daikha tha jo beghair kisi tassurr kay sheeshay se bahir daikh rahi thi.. jo hua ghalat hua tha lekin yeh sunn kay toh woh khud bhi munn torr kar hi aya uska. Baaki ka raasta khamoshi se guzra.

__________________________________

Gaari garage mein park krtey saath hi dono bhaiyo ne ek dusrey ko daikha tha. Safoorah ki halat iss waqt waqqi theik nai lg rahi thi. Aarish ne sanjeeda nighaao se ussey daikha jiska jawaab Ruhaan ne sarr kham mein dia tha.
Aarish Khamoshi se gaari se utra aur andr chala gya. Woh dono abhi tak chup chaap bethey thai. Ruhaan gaari se utraa aur peechey ka darwaaza khol kay ussey bahir nikaala.
Woh itni bnd zehan zindagi mein dusri baat hui thi.

Ussey shayd yeh bhi samjh nai arha kay gaari se utarrey ab? Agr utarrey to kyoun utarrey?
Woh ghayab nazro se Ruhaan ko daikh rahi thi jese puchna chahti ho kay woh kon hai aur woh ussey kyoun yhaan laaya hai?

Ruhaan ne beghair usski nazro ko daikhai Khamoshi se uska daaya haath pakra. Ruhaan kay seedhey haath se khoon kay dhabbey kuch hadd tk saaf ho gye thai lekin uskay haath zakhmi ho gya tha burri trha. Usne Safoorah ko halka se kheencha toh woh baahir nikli thi. Usne haath nai churwaya. Woh iss qadar ghayab dimagh thi kay waqqi chaahti thi kay koi ussey aagey ka raasta dikha dey... Kyoun uski aankho mein dhund agyi hai...

Woh haath pakrey Khamoshi se ussey apne saath andr le aaya. Daadi jaan kamrey mein thi shayad. Aarish unkay paas chala gya tha. Lounge mein koi nai tha. Safoorah chup chaap uskay peechey chal rahi thi. Ruhaan ne apne kamrey ka darwaaza khola aur light on ki thi.
Safoorah ne ird gird nai daikha. Bass uska dil doob raha tha aur woh baithey rehna chahti thi.
Woh haath churwa kar bed kay saath parrey couch par Khamoshi se sar jhuka kar baith gyi.
Ruhaan ussey gehri nazro se daikh raha tha. Lekin kuch nai bola na aagey barha. Almaari se apne kaprey nikaley aur washroom chala gya.
Safoorah ki palkein bheeg rahi thi. Aur woh khaali khaali nighaao se qaaleen par bney naqsh daikh rahi thi.
Woh nahaaya hua geeley baalo kay saath baahir nikla. Kam az kam woh kuch behtar lg raha tha. Lekin uska seedha haath zakhmi tha aur ulta baazu dard mein.
Usne ne kuch dair ussey phir khamoshi se daikha lekin baahir chala gya. Safoorah ne sarr utha kar kuch na kaha na kuch daikha.

________________________

"Ruhaan woh chaahey kitna bhi ghalat tha haath mun torrna koi hal nai hota!"
Daadi ashqem uskay daayein haath pe patti kartey pareshaani aur ghussey se keh rahi thi.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now