Book 2 : chapter : 40
Nigaahon ke tasaadum se , ajab takraar karta hai..
Yaqeen kaamil nahien lekin , ghumaan hai pyar karta hai..!Laraz jaati hoon main ye soch kar , kahien kaafir na ho jaaoon...
Dil uski pooja pe bara israar karta hai...!Usay maalom hai shayad mera dil hai nishaanay par..
Labon se kuchh nahien kehta , nazar se waar karta hai..!Main us se poochhti hoon khuaab main , mujh se mohabbat hai..?!
Phir aankh khol deti hoon , jub wo iqraar karta hai...!!💞PARVEEN SHAAKIR💞
*********************⭐️VOTE⭐️*******************
Club lounge main goonjti magribi gaanon ki awaaz samaa'ton se takraati dil ki dharkan barhaanay ki had tak taiz thi. Lekin dance ke liye banaaye gaye stage par naachtay nojawaanon ke thiraktay qadam aur unkay chehron par saji muskraahatain bata rahi thien ke unhain ye shor o gul pur lutf lag raha hai.
Kayi nojawaanon ke haathon main beer cans thay jin main se apnay doston se baatain kartay huway baray baray ghoont le rahay thay. Jesay wo beer nahien paani pee rahay hon.
Apnay ird gird ka shoro gul se be khabar ek taraf sofay par betha Mateen apni hi dunya main ghuum tha. Ek haath main pakra soft drink ka can abhi tak seel paraa tha. Jub se wo yahaan aaya tha , na jaanay kitni dair se wo isi tarhaan se khamosh betha tha. Wo nahien jaanta tha ke wo yahaan hi kyun aaya tha. Shayad ye soch ke yahaan ke shoro gul se usay apnay dimaag main goonjtay awaazon ko nazar andaaz kar sakay ga. Lekin is maahol ka bhi usay koyi farq nahien paraa tha.
yahaan aakar bhi wo usi tarhaan jal raha tha.
Uski nazrain saamay naachtay nojawaanon pe honay ke baawajood uska dimaag usay Fehmida beghum ka be yaqeeni aur hiqaarat se bharaa chehra dikhaa raha tha. Aankhain khuli honay ke baawajood wo khud ko ek daraawnay khuaab main ghiraa mehsoos kar raha tha. Ek do ghantay pehlay Fehmida beghum ke saath honay waali guftagu uskay kaanon main hathoron ki tarhaan baras rahi thi.
" tum jhoot bol rahay ho Mateen..main ye maan hi nahien sakti , main jaantien hoon tumhain , tum aisa sirf Aayat ke liye bol rahay ho , taakay main usay galat na samjhoon...haina?..!!!" Kitnay yaqeen ke saath unhon ne Mateen ki sachaayi ko jhutlaaya tha. Jesay Mateen ne dunya ki sub se na mumkin baat keh di ho. Unka yaqeen dekh Mateen soch bhi nahien sakta tha ke wo itna bebas mehsoos karay ga.
"Main sach bol raha hoon chachi...Aayat ke saath wo sub maine kiya tha. Uski is qadar be rukhi ka sabab main hi hoon.., main aapkay is bharosay ke laayak nahien hoon..mat kejiye mujh pe itna bharosa..." Mateen do qadam unki taraf barhaa tha. Wo bataabi se unhain apni sachaayi pe yaqeen dilwaana chaahta tha , lekin uska dil har lumhay ke saath toot raha tha. Ye sub uskay liye bohat mushkil tha. Lekin wo ye sirf Aayat ke liye karna chaahta tha.
Mateen ne jesay hi unkay kaamptay haathon ko thaamnay ke liye haath barhaaya Fehmida beghum ka haath utha tha aur ek zor daar tamaacha uskay gaal pe nishaan chhor gaya tha.
Mateen ko jub apnay baazu par kisi ka lums mehsoos huwa tab wo ek dum se apnay khayaalon se baahar nikla tha. Aur uski nazar apnay baraabar bethi larki par pari.
" Mateen kesay hain aap , kitnay mahinon ke baad aap se phir se mulaaqaat huwi hai. " Masnuui naazuk awaaz main kehtay huway , makeup se sajaa khoobsurat chehra inthaayi dilkashi se Mateen ko dekhtay huway muskraaya tha.
YOU ARE READING
Sazaye ishq. سزائے عشق Completed ✔️
RomanceSazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e yaar , figaar e jigro masti asst Visaal e yaar , jamaal e rukh o lub tishna Hijr e yaar , hijr e giraa'n ba hasti Ishsq... Ek aisi larki ki...