Book 2 chapter 32

1.6K 111 41
                                    

Book 2 chap 32

Aansu'oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne...!
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
💔💔💔💔💔💔
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha....!
Pehle Dewana Banaya ,Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
💔💔💔💔💔💔
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,

                                                                   AHMED FARAZ

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐vote ⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

Doosray din jub uski aankh khuli to sub se pehlay uski nazrain Apnay haath ke baraabar sar rakhay soti Aayat ke pursukoon chehray se takraayien thien.

Usay mehsoos huwa jesay wo koyi khoobsurat khuaab dekh raha ho. Bina palkain jhapkaaye wo yunhien usay dekhta raha. Aayat ki jhuki palkain uskay rukhsaron pe saaya figan thien. Aur uskay  gulaabi hont neend main halkay se khulay thay. Us waqt wo maasoomiyat aur khoobsurti ka pekar bani uskay dil main halchal paida kar rahi thi.

Wo ye tak bhool gaya tha ke wo is waqt zakhmi haalat main hospital ke bed par hai. Usay hosh tab aaya jub ksis ke hansnay ki awaaz uskay kaanon se takraayi thi.

" Mateen bhaai aap aur kitni dair Aayat bhaabhi ko dekh kar is tarhaan muskraatay rahain ge. " Idrees ke jumlay par par Aayat jo be khabar soyi huwi thi. Ek dum se bedaar huwi thi.

Poori raat Wo is aasray main so nahi paayi thi ke kab Mateen uskay haath ko rehaa karay ga , lekin poori raat Mateen usi tarhaan usay thaamay raha aur is chakkar main Aayat poori raat so na saki , aur phir naa jaanay kab subha ke waqt  bethay bethay wo so gayi thi. Aur ab aankh khulnay par par usay pataa chalaa ke wo uskay aur Mateen ke juray haathon pe sar rakhay soyi huwi thi.

Uski aankhon se neend ek dum se gaayab ho gayi thi aur chehra laal tamaatar.

" shukar hai aap ko hosh to aaya , warna humaari Bhaabhi ka to ro ro kar bura haal ho gaya tha aap ke liye. Aur ab to bhabhi ka haath chhor dain , bechaari poori raat isi tarhaan bethay bethay so gayien.  " kehtay huway Idrees apni jgaah jahaan wo kal raat soya tha wahaan se uth kar Mateen ke bed ki taraf aa gaya.

Aayat ne usi waqt apna haath Mateen ke haath se kheench liya.  Aur apna dupatta theek karnay lagi.

Mateen ne Aayat ke surkh chehray ki taraf khojti nazron se dekha , jo is waqt uskay ilaawa baaqi har cheez par nazrain dora rahi thi.

Itni dair letay rehnay ki wajaah se uski peeth akar gayi thi , is liye Mateen ne halki muskraahat ke saath uthnay ki koshish ki. Par jesay hi uska daahinay baazu par pressure para uskay shaanay main dard ki shadeed lehar dor gayi , aur uski zabaan se halkay se karaahnay ki awaaz nikli.

Uski is harkat pe Aayat ek dum se uski taraf mutwajja huwi thi. " isi tarhaan letay raho ,  uthnay ki zaroorat nahi hai. " Aayat ne jhijhaktay haathon se Mateen ko waapas leta diya. Aur Idrees jo Mateen ki madad ke liye aagay barhaa tha Aayat ko Mateen ke liye pehlay se mojood dekh kar wahien ruk gaya.

" haaye....meri Rida se shaadi kab hogi...." Be saakhta uski zabaan se ye jumlaa niklaa tha. Usnay jheenptay huway  Aayat aur Mateen ki taraf dekha ke kahien un dono ne uski baat suni to nahien. Par khush qismati se unka dhiyaan ek doosray ke ilaawa kisi aur pe parta hi nahien.   Hufff..!

Kuchh dair ke baad doctor ke saath ghar ke baaqi afraad jo idrees ke ghar ke ghar rehaaish pazeer thay wo bhi aa gaye. Saaray checkup ke baad Mateen ko doosray room main shift kar diya. Aur doosray din baad Mateen Ko discharge kar diya gaya.  Murad sahab ne faisla kiya ke unhain ab Karachi chalay jaana chaahiye. Aashir  Rehana beghum ki wajah se doosray roz hi hospital se seedha karachi ke liye nikal gaya tha. Aur wahaan jaakay usnay Rehana beghum ko saari haqeeqat bataayi , jisay sun kar pehlay to wo bohat pareshaan huwien par Aayat aur Mateen se phone par baat karnay ke baad wo mutmaeen ho gayien aur shukar ke nawaafil adaa kiye.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now