Book 2 chapter 27

1.3K 112 14
                                    

Book 2 chap 27


" bhali karay aaya... main hoon Malik Ameen.... to tum ho Mateen haider... bohat dinon se tumhaaray baaray main sun rahay hain , achha huwa aaj mulaaqaat bhi ho hi gayi. " aatay ke saath hi wo garam joshi se Mateen se milaa , jis ka Jawaab Mateen ne utni hi  garam joshi se to nahien par ikhlaaqan zaroor diya.

Malik Ameen ki aankhain lomri ki tarhaan shaatiraana Mateen ka jaaiza le rahien thien.

" Sahi suna tha ke Wahab haider ka beta shakl o surat main bilkul uspay gaya hai. ."  Us shakhs ne nazrain Mateen ke chehray par ghumaatay huway kaha.

Usay ab bhi yaad hai wo waqt jub  usnay wahab ke saamnay ghulam haider ke liye buray aur naa zaiba alfaaz ka istamaal kiya tha , to Wahab hi tha jis ne bina kisi khauf o khatar uski paishaani pe gun taani thi.

" aap ke baaray main bhi jo suna tha aap ko wesa hi paaya...." Mateen ki baat par Haashim chacha ki hansi chhoot gayi jisay chhupaanay ke liye unhon ne apnay aap ko khaansi ke doray main mubtlaa kar diya.

Mateen aur Allah bakhs bhi unki is harkat par ba mushkil hansi rok sakay thay. Lekin Malik Ameen aur unkay saath ke afraad Hashim chacha ko khoonkhuaar nazron se dekhnay lagay.

" wesay aap ko koyi dhamki wagaira mili hai kya....? mera matlab hai koyi jaan ka khatra hai kya.." Mateen ba khubi waaqif tha ke yahaan apnay saath is tarhaan musallah daar afraad liye ghoomna koyi khaas baat nahien ,  par wo unki anaa ko chot maarnay ke liye is ka zikr kar betha.

" jaan ka khatraa...!? Aur mujhay..? Hum maarnay waalon main se hain saaien... aur ye baat tum apnay chacha Murad sahab se bhi poochh saktay ho , unhain is baat ka zyaada andaaza hai. kyun sahi keh raha hoon na main Allah bakhsh....? " Malik Ameen ka lehja aur alfaaz dono guroor o takabbur se bharay huway thay , Mateen ko un se hiqaarat mehsoos honay lagi.

" haan ye to tum ne bilkul theek kaha Malik sahab , Mateen ko zaroor apnay chacha se tumharaay baaray main poochhna chaahiye , wo isay Ye baat  bhi baray fakhar se bataaye ga jub Wahab ne tumhaaray sar par bandooq rakh kar tumhaaray paseenay chhurwaa diye thay. " Allah bakhsh ne zaahiran to mazaakan kaha tha lekin wahaan mojood har shakhs unkay saaday lehjay ke peechhay beizzati ka ansar ba khoobi dekh sakta tha.

" Allah bakksh apni oqaat main raho...!.." Nojawaan larka jo yaqeenan Malik ameen ka beta tha khoonkhuaar nazron se dekhte huwa gurraaya.

Mateen ka dil chaaha ke abhi isi waqt us larkay ki zabaan nikaal de jo apnay se baray se is tarhaan baat kar raha hai.

wo kuchh kehnay hi waala tha ke Allah bakhsh ne uskay shaanay par haath rakhtay huway usay rok diya. Malik Ameen ye sub musarrat ke saath bari dilchaspi se dekh raha tha.

" Malik sahab bohat achha lagaa itnay din baad aap se baat karkay , ab humain ijaazat dain , yahan kharay waqt ziyaan karnay ke ilawa chhotay saaien ko aur bhi kaam hain. "

Mateen abhi tak us larkay ko gussay main dekh raha tha. Par Allah bakhsh chacha ki wajah se khamosh tha.

Wo teenon jaanay ke liye muray hi thay jub us larkay ne phir se zehar uglaa.

" haan haan jao....! Ek bhagoray aur badkirdaar angraiz  ke khoon ki bahaaduri bhi aaj dekh li....!! us firangan ke....." Wo abhi aur kuchh bhi kehnay waala tha ke Mateen ka ghoonsa uskay naak pe lagaa ,  jis se wo ek dum se zameen par gir para . Doosray hi lumhay Malik Ameen ke bandooq liye aadmiyin ne apni dono banduqain uski taraf taan dien.

Lekin Mateen ko is se koyi farq nahien para aur wo bil a khuaf phir us larkay ki taraf barhnay laga.

" Mateen...!" Allah bakhsh ne usay mazeed kuchh karnay se pehlay hi baazu se pakar kar rok liya. Wo gussay se kholta us larkay ko khoonkhuaar nazron se dekh raha tha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now