Book 2 chap 25
Wafaa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liyaa
Ke Teri Baat Ki Aur Teraa Naam Bhi Na Liyaa
Khushaa Wo Log K Mehroom E Iltefaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz E Saadgi Na LiyaaAhmed Faraz
**************
Saamnay ka manzar dekh kar jo aankhain adh khulien thien , dar ke maaray poori khul gayien thien. Wo jhatkay se seat par seedhi uth beth gayi.
Kahien uski aankhain dhoka to nahien khaa rahien..?
Usay samajh nahien aa raha tha ke wo kya karay.... Ghar pe phone karay..?
ya.. Ya police ko..?
Uska dil zor zor se dharakna shuroo ho gaya tha.
Saamnay road ke kinaaray par Mateen uski taraf peeth kiye khara tha aur uskay saamnay do teen aadmi kharay thay jo wahien pe khari jeep se utray thay. Par Aayat ke dar ki wajah wahan sirf unki mojoodgi nahien thi par unmain se ek ke kaandhay par latakti ak47 thi jisay wo Aadmi kuchh is andaaz main thaamay huway tha jesay abhi uska istamaal bhi kar de ga.
" kon hain ye log...!? Aur Mateen un se kya baat kar raha hai...!? Wo wahan khara hi kyun hai..? Kuchh kar kyun nahien raha..? Ya bhaag kyun nahien raha...!?
Kahien wo unsay behas to nahien kar raha..?
Ye mard itnay be waqoof kyun hotay hain.... ?
aaj kal zara si mazaahmat par ye log to maar bhi detay hain.
kahien ye Mateen ko....?! wo apnay andar ye anjaana saa khuaf mehsoos karnay lagi.
pareshaani aur jhillahat main sawaalaat uskay dimaag main ghoomtay uski pareshaani main mazeed izaafa kar rahay thay.
Wo khud kya karay..? Bhaag jaaye...?
Shayad koyi madad ke liye mil jaaye...
nahien..! wo Mateen ko yahan akelay chhor kar nahien jaa sakti.....
ye shayad daaku hain , agar un logon ne Mateen ko maar diya to...? Naa chaahtay huway bhi wo Mateen ke liye dar mehsoos kar rahi thi.
Kya karoon....!.?
Us ne faisla kar liya . Is se pehlay ke koyi bara haadsa ho jaaye , wo apnay haathon main pehni sonay ki chundiyaan aur anguthi unhain de degi aur minnat karay gi ke wo log unhain bina kisi nuqsaan ke jaanay de۔ shayad wo ye sub lenay ke baad khamoshi se bina nuqsaan ke chalay jaaien....?
Jaldi jaldi dupattay ko sir par achhi tarhaan se orhnay ke baad wo ek dum se gaardi se utar khari ho gayi. par uskay kuchh bhi kehnay ya karnay se pehlay darwaaza khulnay aur bund honay ki awaaz par Mateen samait un teen aadmiyin ka dhiyaan bhi uski taraf mura tha.
Aayat ki nazrain Mateen ke saath kharay us aadmi par thehar gayien jinkay honton par shafeeq aur dostana muskurahat thi.
Ek lumhay ke liye Aayat ko shadeed herat ka jhatkaa laga.
ye shakhs to kisi bhi angle se daaku wagaira har giz nahien lag raha. Aayat ne nazazrain ghuma kar Mateen ki taraf dekha jo muskuraata huwa ussi ki taraf aa raha tha.
Aayat ko ab bhi samajh nahien aa raha tha ke ye sub kya ho raha hai...?
Ye manzar to kisi bhi tarhaan se loot maar ka nahien lag raha...
agar ye koyi daaku nahien...! to phir ye log kon hain..?!
"Tum uth gayi..? chalo achha huwa , in se milo ye khuda bakhsh chacha hain , jin kay baaray main Murad chachu ne bataya tha. Ye humain lenay aaye hain.." Mateen ne Khuda bakhsh chacha ki taraf ishara kartay huway unka taarruf karaaya jo Mateen ke peechhay hi wahan aa gaye thay.
YOU ARE READING
Sazaye ishq. سزائے عشق Completed ✔️
RomanceSazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e yaar , figaar e jigro masti asst Visaal e yaar , jamaal e rukh o lub tishna Hijr e yaar , hijr e giraa'n ba hasti Ishsq... Ek aisi larki ki...