Book 2❤️Chapter 2

1.5K 104 206
                                    

main us ka hon ya baat jantay hain faraz

woh kis ka hai , ya baat mujhy sonay nhi deti..

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

Us raat jub Aayat ne Haadi se shadi ke liye haan kahi , to Rehana beghum ne bina waqt zaaya kiye Haadi ki waalida Aaliya beghum ko ye khush khabri suna di . Aur phir jald hi doosray din Aaliya behhum Apnay shohar samait Aayat ko Haadi ke naam ki angoothi pehna kar usay Haadi se mansoob kar gayien. Aur saath hi ek mahinay baad shadi ki khuahish ka izhaar bhi. Par us waqt Rehana beghum aur Aashir ne is ke mutalliq sochnay ka keh kar baat ko taal diya tha.

Kuchh din tak Haider khandan ke mutalliq  poochh taachh karnay ke baad , jub Aashir aur Rehana beghum ko is baat ka itminaan ho gaya ke wo shareef , aur karachi ke izzatdaar khaandaan main shumaar hotay hain, to Rehana beghum ne is rishtay ko thukraanay ki ghalti nahi ki , Aur Fehmida beghum ki di gayi Zoyan ki tasveer dekhnay ke baad to unhain apni chand jesi beti ke liye itna khoobaru larka bohat bha gaya tha.

Aur ab jub Aayat ka rishta bhi tai paa gaya to inkaar ka to koyi jawaaz ( excuse) hi nahi theharta tha. Rahi baat Zarish ki haan ki to Aayat ne bataya ke Zarish se wo baat kar chuki hai , aur Zarish raazi hai.

  jald hi unhon ne Fehmida beghum ke diye gaye number par call karkay unhain apni taraf se Zarish ke rishtay ke liye haan kar di. Aur jald Aashir ne Zoyan se mulaqat bhi kar li.

Kuchh dino main hi aapas main baat cheet karnay ke baad ek mahinay ke baad shadi ki date fix ki gayi. Choonkay Haider family ne  shadi ka saara kharcha apni taraf se karnay ka apna hatmi faisla suna diya tha. To Aashir ne Aayat ki shadi Zarish ki mehandi ki raat karnay ka faisla kar diya. Aur us raat ke saaray intzaamat apnay sir le liye. Jisay teeno families ne maan liya tha.

Haadi ki waalida Aalaiya beghum ke har haftay Unkay ghar ke chakkar lagtay thay , kabhi Aayat ko apnay saath shopping le jaanay ke iraaday se, to kabhi Aayat ke liye kuchh laanay ke bahanay se.

Aur unkay saath Haadi khilay chehray ke saath Aayat ko talaash karta rehta. Choonkay Unkay ghar main uskay waalid ke ilawa ek wahi mard tha to , is sub ke liye usay apni waalida ke saath aana parta tha. Aur is bahanay wo Aayat ko bhi dekh leta tha.

  Aayat jisay usnay paanchh saal pehlay  pasand kiya tha. Lekin phir bud qismati se wo usay dobara dhoond nahien paaya. Aur jub paanchh saalon baad usnay phir se Aayat ko dekha to , is baar wo kisi bhi haalat main Aayat ko khona nahi chaahta tha.

Aur aaj wo uski mankuha bannay jaa rahi hai. Uskay  poor poor se Aayat ko paanay ki khushi chhalak rahi thi. Par jitni khushi wo mehsoos kar raha tha , wesi khushi wo Aayat ke chehray par kahien bhi nahi dekh raha tha. Aisa kyun tha...? kyua wo is shadi se khush nahien hai....?

Apnay aas paas ki khushiyon se ghiri Aayat , apnay andar jesay har ehsaas kho chuki thi. Wo ek robot ki tarhaan sirf doosron ke hukum ki ghulam ban chuki thi.

Kabhi Zarish ki khushi ke liye, to kabhi kisi aur ke. Wo khud samajh nahi paa rahi thi ke wo kyun khush nahi ho paa rahi . Wo kyun jee nahi paa rahi.

Yehi shart to usnay rakhi thi ke wo jis se shadi karay gi usay uskay maazi ka sach pata hona chaahiye. Aur Haadi ne to usay uskay daag samait qabool kiya hai. Wo usay apnay ghar ki izzat banana chaahta hai. Phir kyun uska dil is shadi ke liye khushi mehsoos nahi kar raha...? Wo kyun murda ban gaya hai..?

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now