" wo to hum abhi bhi hain...wesay ye janaab ka mizaaj itna ukhra ukhra sa kyun hai..? Jesay kisi ne iskay poochh main aag laga di ho. "
" Idrees ab pito ge tum meray haath se...!! aur main sach keh raha hoon , Zarish ne waqayi shaadi ke liye haan kardi hai. Par mujhay samajh nahien aa raha ke ab baba ko kesay bataaoon. Ek ke baad ek maslay khatam hi nahien ho rahay. Yahan is mulk main din main dus dus shaadiyan hoti hongi , aur ik mujh gareeb ko hi kanwara rakha huwa hai. Kisi ko koyi parwaah hai ke nahien. ..!!"
Zoyan ne kisi aurat ki tarhaan apna dukhra sunaya. Zoyan ki baat pe Mateen ko hansi aanay lagi , par usnay muskura kar hi apna farz poora kiya.jubkay Idrees ke behuda qehqahay nikal gaye thay , aur wo itna hans raha tha ke uski ankho'n main paani aa gaya tha. in dono ko is tarhaan dekh Zoyan ko bhi ab apni baat pe hansi aanay lagi.
"Haaye Allah humara Zoyan shadi ke liye maraa jaa raha hai...!!" Idrees ne Aurat ki awaaz nikaaltay huway Zoyan ko teas kiya.
" Shut up Idrees.." Zoyan ne sharmindgi chhupaanay ke liye Gussay se kaha.
" par Zoyan tum se bara to Mateen hai is khaandaan main, abhi wahi kanwara betha hai beta, tera number to baad main aaye ga.. pehlay humain Mateen bhaai sahab ki shadi karani hogi. "
Idrees ne apni Hansi pe qaabu paatay huway kaha. , par us ki is baat se Mateen ke chehray pe phaili muskaan ek dum se gaayab ho gayi thi. jisay uskay baraabar main bethay idrees ne to nahien dekha ,par saamnay Kharay Zoyan ne dekh liya tha. Aur isi liye ek dum se bola.
"Achha is baat ko tu chhor ,ye bata ye do din tu kahan tha. Koyi phone bhi nahien kiya. Wo to ammi ne kal bataya ke Tum kisi kaam se nawaaz ke saath gaye huway ho, aur tera phone bhi nahien lag raha tha wahan. " Zoyan ne ek dum se mozoo'n badal diya.
" haan..! wo Nawaz ko Hub main kuchh kaam tha, usi silsilay main wo mujhay apnay saath le gaya tha. aur mera mobile pata nahien kahan gir gaya , Shukar zyada mehnga nahien tha , isi bahanay latest iphone le loonga. " Idrees ne taang pe taang rakhtay huway bataya. Uskay chehray par mobile guum jaanay ka koyi afsos zaahir nahi ho raha tha.
" hmm.." Zoyan saamnay rakhi kursi pe beth gaya . Par Mateen ka dil ab wahan se uth kar jaanay ko kar raha tha. Uski nazar saamnay phool chuntay Maali par thi , aur dimaag apni sochon main uljha huwa. Idrees aur Zoyan ki baato'n pe dhiyaan diye bagair , Wo kuchh dair Yunhi saamnay dekhta raha.
" mere paas tumhari pareshani ka ek hal hai..!!!" Achanak Idrees ne taqreeban uchaltay huway kaha.
" kya..?!" Zoyan ne dilchaspi lete huway pur tajassus lehjay main poochha. Mateen ka dhiyaan bhi ab Idrees ke shareer muskaan liye chehray par gaya tha. .
" is ghar main Murad Khaalu ka sub se laadla aur chaheta bunda kon hai...?" Idrees ne abroo uchkaatay huway poochha.
" Amma..?!." Zoyan ne herat se poochha. Mateen khaamoshi se idrees ke jawaab ka intzaar karnay laga.
" nahien!!..wo unki laadli kesay huwien Zoyan.!! khala ke ilawa.." Idrees ne ab bhi seedha naam nahi bataya. Zoyan sochnay laga.
Amma ke ilaawa baba ka itna laadla kon ho sakta hai. " Rida..!?" Idrees ne phir nafi main sar hilaya.
"Kon ..?" Ek dum se uskay dimaag ne usay jawaab bataa diya tha. Aur usnay yak lakht saamnay be taassur bethay Mateen ko dekha ,aur doosri Nazar Idrees ko . Idrees jawaaban shareer muskurahat liye asbaat main sar hilaata Zoyan ke andaazay ki tasdeeq kar raha tha.
YOU ARE READING
Sazaye ishq. سزائے عشق Completed ✔️
RomanceSazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e yaar , figaar e jigro masti asst Visaal e yaar , jamaal e rukh o lub tishna Hijr e yaar , hijr e giraa'n ba hasti Ishsq... Ek aisi larki ki...
Chapter 30
Start from the beginning