Jis ke honay se meri saans chala karti hai,
Kis tarah us ke bina mera guzaara hoga..!Jo meri rooh main baadal se garajte hain Wasi,
Uss ne seeney main koi dard utaara hoga..!🌿Wasi shah🌿
^^^*********^^^^^********^^^
Aayat se us raat phone pe baat kiye huway do din guzar chukay thay, aur in do dino'n main Zoyan na jaanay kitni baar Fehmida begum se Zarish ke mutalliq baat karnay ki himmat juta chuka tha.
Par har baar Murad sahab ko dekhtay hi uskay paseenay chhoot jaatay , aur wo ultay qadam wapas aa jata. Usay fehmida beghum ki taraf se koyi dar ya pareshani nahi thi. Agar dar tha, to wo tha Murad sahab ki taraf se. wo Murad sahab ke mizaaj se achhi tarhan se waaqif tha. wo is baat pe Zoyan ki izzat afzaayi to laazman karain ge. Aur is baar to bohat fursat se beth kar.
Aur isi chakkar main ye do din hawa ki tarhaan guzar gaye thay. Aur is ke ooper Rida thi jo kayi baar usay dekh kar maaine khaiz muskurahat,muskuratay huway shaadi ke gaanay , gaana shuroo ho jaati. Aur Zoyan ki rahi sahi himmat bhi hawa chhoo ho jaati.
Abhi bhi naashta karnay ke baad Mateen ke saath wo lawn main dhoop khaanay chala aaya tha.
Mateen to wahien bench par beth kar dawn news parhnay laga. Aur Zoyan apnay qadmo'n talay ghaans ko qaaleen bananay main masroof tha.
Subha ke 9 baj rahay thay , aur December ka suraj apni halki tapish liye maahol main sunehra pan bikhair raha tha. Saamnay Maali podo'n se khoobsurat khilay gulab ke phoolon ko chun raha tha.
Par Zoyan har cheez ko nazar andaaz kiye apnay dimaag main speech tayaar kar raha tha, jo usay Murad sahab ke aagay deni hai.
" Hii Mateen.. Zoyan .! Kesay ho tum log. " Main gate se daakhił hota Idrees kehta huwa Zoyan se mukhatib huwa , aur wahan bench par bethay newspaper parhtay Mateen ke baraabar main beth gaya.
"kya ho raha hai...? ye tumharay chehray pe 12 kyun bajay huway hain... kuchh huwa hai kya. .."
Bethtay hi uski Nazar Zoyan ke mutafakir (pensive) chehray par pari to fikar mandi se poochha.
" jaahil insaan kabhi salaam bhi kar liya kar. .aur tu ye do din se kahan gayab tha... aur is waqt kahan se aa rahay ho. ..?" Aakhir Zoyan ko ghaans pe reham aa hi gaya aur wo ab ek jagah ruk kar Idrees se mukhatib huwa. Aur doosri shakal main usay ek punching bag mil gaya tha.
" Zarish ne shadi se inkaar kar diya hai kya..?" Wo bhi kahan bakhshnay waala tha.
" Zarish ka naam bhi mat lo Idrees... aur nahien .! Zarish ne shadi se inkaar nahien kiya hai, balkay haan kar di hai. " Zoyan ne apnay dono haath kamar pe rakhay Idrees ko karay lehjay main kaha. Us ka dimaag pehlay se hi tapaa huwa tha , aur ab Idrees uska seena jalanay aaya tha.
" Achha..!!? Waqayi..! Teri tenday jesi shakal se to aisa nahi lag raha.... tum batao Mateen ..! kya ye sach keh raha hai.?. Kyunkay mujhay to nahien lagta.." Idrees ne kamaal ki acting kartay huway wahan khaamosh bethay Mateen ko bhi apnay saath ghaseeta.
" tum dono dost thay na..?."
Mateen ne Idrees ke sawaal ko qatayi nazar andaaz karkay , akhbaar ko fold kartay huway kaha. Wo un dono ko halki muskurahat liye dekh raha tha.
YOU ARE READING
Sazaye ishq. سزائے عشق Completed ✔️
RomanceSazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e yaar , figaar e jigro masti asst Visaal e yaar , jamaal e rukh o lub tishna Hijr e yaar , hijr e giraa'n ba hasti Ishsq... Ek aisi larki ki...