Chapter 20

2K 140 359
                                    


Wo Acha Hay Tou Behtar, Bura Hay Tou Bhi Qabool

Mizaaj-E-Ishq Mein Aib-O-Hunar Dekhay Nahi Jaatay...!!!

        💝AHMED  FARAZ 💝
🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀
chapter 20
" mujhay lagta hai aaj barish honay wali hai...london se itni door sooraj dekhnay aaye thay , aur ab yahan bhi baarish.."

" kya..." Mateen ne Aditya ki awaz pe na samjhi se Aditya ki taraf dekha.

" maine kaha Aaj baarish hogi!!!...tumhara dhiyaan thori dair ke liye Aayat se hatay to tum meri baat suno na!!" Aditya ne chirrtay huway kaha to Mateen ne sharmindgi se muskuratay huway apni pichhli gardan pe haath phairtay huway Aditya ko dekha.

" aisi koyi baat nahi hai yaar.," Mateen ne uskay shanay pe haath rakhtay huway usay mananay ki koshish ki .

" jub se hum yahan aaye hain, tum sirf Aayat ko dekhay ja rahay ho...aur agar ye aisi baat nahi hai to phir kesi baat hai??" Aditya ne bhi aaj itnay dino ka gussa nikaalnay ka irada kar liya tha.

" aur jo tum Rabia ko dekhtat ho , us ka kya..!?" Mateen ne bhi Aditya ki kamzor nus pe haath rakha. Jis pe Aditya ne satpata kar Mateen ki taraf dekha.

" kya..kon main!!? Nahi main tumhari tarah obsessed nahi huwa hoon Rabia ke peechhay, aur wesay bhi usnay bataya ke wo engaged hai , aur mujhay sirf ek dost ki nazar se dekhti hai" akhri jumlay tak Aditya ka chehra utar gaya tha. Aur uska jawab sun ab chonknay ki baari Mateen ki thi.

" kya!! Phir first day pe wo tumhari taraf dekh kar itnay daant kyun nikaal rahi thi. " Mateen ne bhi koi lehaaz nahi kya tha , wesay bhi rabia kon sa uskay saamnay mojood thi.

" Mateen !!! Tum is tarhaan Rabia ke baaray main nahi keh saktay, aur meray liye uski dosti bhi bohat hai" Aditya ne khafgi se kaha.

" phir bhi...tumhain koshish to karni chahiyay thi, is tarah haar kyun maan li ..?" Mateen ko apnay bhaai jesay dost ke liye bohat bura mehsoos ho raha tha is liye uskay itnay jaldi haar maannay par gussa bhi.

" main uskay faislay ki izzat karta hoon is liyay"

" Aadi kabhi kabhi life main har cheez plate pe sajaye nahi milti, humain uskay liye thori koshish bhi karni chahiyay.agar hum aisa nahi karainge to saari umar khaali haath reh kar  doosro'n ko bhari plate le jaatay dekhna paray ga. "

Mateen bazaahir to Aditya se keh raha tha par ander dil main wo khud se mukhatib tha , uski nazar wapas saamnay blue colour ke shalwar qameez suit main malboos Aayat ki taraf gayi , jo apni friends ke saath kinaray pe khari photography kar rahi thi.

Beach pe chalti thandi hawaa main baar baar uska dupatta ur raha tha , aur wo baar apnay dupattay ko sambhaal rahi thi..,uskay baal jo hotel se nikaltay waqt adhay bundhay huway thay , yahan jumeirah beach pe ab juray (messy bun) ki shakal ikhtiyaar kar chukay thay.

Mateen ko pehlay kabhi larkion ke baal is style main achhay nahi lagtay thay, par Aayat pe ye hair style bhi bohat pyara lag raha tha.

" agar tum Aayat ke baaray main soch rahay ho to , bhool jao..wo kabhi tumhain haasil nahi honay wali. "

Aditya ki awaz pe Mateen ne  nazar Apnay mun pasandida nazaray se hataa kar Aditya  ki taraf ki, Jo Aayat ko udaas muskurahat liye dekh raha tha.

" Aadi meray dost .... Tum shayad bhool gaye ho kay tum kis se ye baat keh rahay ho...kya kabhi aisa huwa hai ke Mateen ne kisi ko chaha ho aur wo usnay na mili ho, kabhi nahi na?? Is baar bhi nahi hoga... " Mateen ne muskuratay huway khud passndi se kaha.  uskay poor poor se zahir tha ke wo apnay aap par kitna mutaqad tha. Mateen ki baat sun kar Aditya ne maayoosi main sar hilatay huway Mateen ko dekha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now