Next morning,
Bondita woke up and smiled seeing herself cuddled with him...
She tried to get up but he tightened his hold around her.
Bon : patibabu uthiye...
Ani : sone dona please aur tum kaha jaa rahi ho itni subah subah...suraj tak nahi nikla hai...
Bon : haa patibabu par aap jaante hai na kitne kaam pade hai shaadi ke, uthiye...
Ani : kabhi humari shaadi par dhyan de do...
Bon : patibabu yeh aap bhi jaante hai ki main bhi aapke saath waqt bitana chahti hu, mera kitna bhi mann kare ki main aise hi aapke baahon mein padi rahu lekin nahi reh sakti bohot kaam hai...accha yeh shaadi ho jaaye phir mera saara waqt aapka...
Ani : ek shart par chodunga...
Bon : kya...??
Ani : shaadi ke baad main jaha bolunga tum mere saath chalogi ghumne....humara honeymoon bhi nahi hua pata hai na...
She blushed...
Bon : aapke liye toh harr roz honeymoon hi hai, accha thik hai main aaungi lekin abhi chod denge...
Ani : Bonditaaaa....
Bon : patibabuuuu....
Ani : fine jao...
He left her and turned his face....
She facepalmed herself...
Bon : patibabu aap kabhi kabhi na bilkul baccho ki tarah bartav karte hai aapko pata hai...
She kissed his cheek making him smile...
Bon : nautanki hai tino bhai....aap bhi uth jaiye phir bohot kaam hai...
He nodded...!!!
**********************************
Tupur was going back home from the temple when someone pulled her behind the temple...
She was shocked and was about to shout but saw som...
Som : shh, main hu tupur...
Tupur : aap aise...yeh kya kar rahe hai...
Som : woh main tumse baat karna chahta tha aur main jaanta hu shayad sabke saamne tumhe baat karna thik nahi lagega isliye mujhe aise kheechna pada...
Tupur : main chalti hu agar kisi ne dekh liya toh...
Som : yaha koi nahi aata tupur....baat karni hai mujhe tumse...
Tupur : main jaanti hu aap kya baat karna chahte hai...
Som : hmm, agar jaanti ho toh samjho na...
Tupur : kya samjhu, yehi ki mujh par taras kha kar meri zimmedari uthana chahte hai aap...yehi ki zindagi bhar mera bojh uthana chahte hai aap...
Som : aur tumse aisa kisne keh diya ki yeh rishta mere liye bojh hoga...ya main tum par taras kha raha hu...
Tupur : toh kya kar rahe hai...agar yeh taras khana nahi hai toh kya hai...bataiye na kyu aap mujh jaisi vidhwa se shaadi karna chahte hai...
Som : kyunki main tumse pyar karta hu tupur....
He bites his tongue realising what he said...
Tupur : aap mujhse pyar kaise kar sakte hai...yeh nahi ho sakta...
She was about to go but he held her hand...
Tupur : aap kya kar rahe hai chodiye mujhe, agar kisi ne dekh liya toh baat ka batangar bann jaayega...
Som : jo hona hai hone do... lekin tum mujhe galat samajh rahi ho...ab pata chal gaya na tumhe ki main tumse pyar karta hu isiliye shaadi karna chahta hu taras nahi kha raha hu tum par....
Tupur : pyar par se mera vishwas uth chuka hai...8 saal maine kisi se pyar kiya tha, yeh pata hone ke bawajood bhi ki unse mujhe zakham ke alawa aur kuch nahi milega... dekhiye aapko haq hai apni zindagi jeene ka, aapse jo bhi ladki shaadi karegi khush kismat hogi, mujh jaisi nahi, na meri kismat kal acchi thi aur naa hi ab kuch badalne wala hai...
Som : tupur dekho main jaanta hu, tumhe yeh sab apnane mein waqt lagega, main intezar karne ke liye taiyar hu, lekin main sachme tumse pyar karta hu...
Tupur : ek baat bataiye agar haadse mein inki maut na hui hoti toh aap kya karte...
He closed his eyes...how he could say that he himself killed her husband...
Som : tupur baat mat badlo...thik hai agar tumhara faisla yeh hai toh mera faisla bhi sunn lo, shaadi karunga toh tumse karunga warna mere zindagi mein koi nahi aayega...
Tupur : aap itne ziddi kyu hai...
Som : tumse hi sikha hai...
She glared at him...
Tupur : dekhiye hume koi nahi apnayega aur....
Som : tupur bhagwan ke liye koi aur kya sochega yeh sochna bandh karo aur yeh batao tum kya chahti ho...dekho tupur mere liye yeh baat aar ya paar ki hai...
He held her hand...
Som : agar tumhari haa hai na toh mandir mein khada hu aur dugga maa ki kasam kha kar kehta hu yeh haath kabhi nahi chutega aur agar tumhari naa hai na toh main phir kabhi tumhe pareshan nahi karunga....
She cried and slowly hugged him...he smiled...
Som : toh isse main haa samjhu...
She looked at him and smiled...
*********************************
Tapur was standing in front of the mirror when she saw batuk's reflection...
She turned...
Tapur : aap yaha kya kar rahe hai, hume ek dusre se milne ke liye mana kiya hai thakuma aur kaka ne...
Batuk : arey woh old man aur old lady toh hazaar baatein kehte hai sab maan ne laga na toh sanyasi bann jaunga...
Tapur : par kya aaye hai aap yaha...
Batuk : arey...tumhara hone wala pati tumse milne aaya hai uski khushi nahi ho rahi hai tumhe...
Tapur : baat woh nahi hai par...
He pulled her by the waist making her breathless...
Batuk : chinta mat karo baudi ko bata kar aaya hu, aur tumhe bata du tumse milne ke liye mujhe kisi ki permission ki zarurat nahi hai...
She looked down, a red hue arrived at her cheeks...
He cupped her cheeks and moved towards her lips making her nervous...
Tapur : aa...aap kya ka..kar rahe hai ye..yeh...
Batuk : isme itna ghabrane wali kya baat hai tapur, humari shaadi hone wali hai itna toh haq banta hai mera...nahi...
She looked down...
He held her chin and made her look at him...
Batuk : tapur ek baat humesha yaad rakhna agar tum apni icchao ko samjhogi toh koi nahi samjhega...shaadi se pehle ya shaadi ke baad bhi, tumhari marzi ke khilaf tumhe haath lagane ka haq nahi hai mujhe....aur yehi baat main tumhe samjhana chahta hu that's it....tum mujhe rokna chahti thi par darr ke maare tumne nahi roka, hai na... toh bass humari shaadi ka ek hi taufa chahiye mujhe tumse...kabhi bhi tumhe aisa lage ki main jo kar raha hu tumhe accha nahi lag raha hai toh bina dare bataogi mujhe...
She smiled and nodded...he kissed her forehead...!!!
YOU ARE READING
Short stories of Anidita ❤️
RomanceThere will some short stories based on anidita..... each story will contain maximum 8 to 10 chapters..... some stories will be based on show and some will be my imagination..... peep into know ....