Lost

10 2 0
                                    

Woh abhi bhi mobile ke camera se usse hi dekh raha tha.

Woh zara or piche chali gayi.

Or ek lamhe main uska camera khali ho gaya.

Ab usse koi nahi dikh raha tha.

Woh wahin sakit ho gaya abhi bhi camera main hi dekh raha tha.

Uske qadmon ne hilne se mana kar diya tha jaise.

Phone wahin gir gaya.

Kafi der zehan sunn raha phir logon ke shor ne harqat karwai.

Ab woh ek ek qadam aahista aahista aage ja raha tha.

Uss jagah ke security officers bhi aa gaye the.

Kisi ne un logon main se ambulance ko call ki thi.

Lekin woh uske liye toh chalna bhi dushwaar tha or kuch kaise karta.

Edge pohonchne se pehle hi officers ne usse rok liya.

Agar woh rokte na toh woh bhi uske saath hi chala jata.

Yehi toh woh chahta tha Mahi ka saath.

Ab kafi waqt guzar gaya tha.

Lekin uske liye toh waqt ruk gaya tha woh ek mujasmay sa wahin baitha tha ghar pe kisi ko khabar nahi thi usse kisi or ka khyaal hi nahi tha.

Search team neeche pohonch gayi thi or abhi talaash jari thi.

Woh badi mushkil se Altaf ko bass text kar paya.

𝚂𝚊𝚋 𝚔𝚑𝚊𝚝𝚊𝚖 𝚋𝚊𝚋𝚊.

Phir unke messages aate rahe lekin usne koi jawab nahi diya calls bhi nahi uthayi.

𝘒𝘺𝘢 𝘮𝘢𝘵𝘭𝘢𝘣 𝘚𝘢𝘳𝘪𝘮 𝘬𝘺𝘢 𝘩𝘶𝘢 𝘩𝘢𝘪?

𝘔𝘢𝘩𝘯𝘰𝘰𝘳 𝘵𝘩𝘪𝘬 𝘩𝘢𝘪?

𝘛𝘶𝘮 𝘵𝘩𝘪𝘬 𝘩𝘰?

𝘑𝘢𝘸𝘢𝘣 𝘥𝘰.

𝘈𝘵𝘭𝘦𝘢𝘴𝘵 𝘤𝘢𝘭𝘭 𝘱𝘪𝘤𝘬 𝘬𝘢𝘳𝘭𝘰.

Altaf ne jab ghar walon ko iss bare main bataya toh sab pareshaan ho gaye the.

Iliyas ne ussi waqt kashmir jane ka faisla kar liya tha.

Nazia or Saira ne bhi zidd ki thi jane ki magar unhe saath nahi liya.

Bass Altaf or Iliyas hi gaye.

𝘒𝘢𝘩𝘢𝘯 𝘩𝘰 𝘚𝘢𝘳𝘪𝘮 𝘩𝘶𝘮 𝘢𝘢 𝘳𝘢𝘩𝘦 𝘩𝘢𝘪𝘯.

Agla din bhi guzar ko tha ab.

Iliyas or Altaf kuch hi time pehle pohonche the.

Un hone Sarim ko zabardasti wapas hotel bhej diya tha kyuki woh iss halat main nahi tha ke koi bhi or baat samajta.

______________*****___________________

Woh hotel ke room main bed ke saamne zameen per baitha tha.

Aankhon ke saamne manzar chal rahe the.

Un yadon ke jo guzar gayi thi.

Chehre kisi bhi tasur se khali tha.

"𝙈𝙖𝙞𝙣 𝙖𝙖𝙥𝙨𝙚 𝙨𝙝𝙖𝙖𝙙𝙞 𝙠𝙖𝙧𝙣𝙚 𝙠𝙚 𝙡𝙞𝙮𝙚 𝙩𝙖𝙮𝙖𝙖𝙧 𝙝𝙪"

"𝘼𝙖𝙥 𝙢𝙚𝙧𝙚 𝙗𝙖𝙖𝙧𝙚 𝙢𝙖𝙞𝙣 𝙨𝙖𝙗 𝙠𝙪𝙘𝙝 𝙟𝙖𝙖𝙣𝙩𝙚 𝙝𝙖𝙞𝙣?"

"𝙔𝙚𝙝 𝙩𝙤𝙝 𝙗𝙤𝙝𝙤𝙩 𝙚𝙭𝙥𝙚𝙣𝙨𝙞𝙫𝙚 𝙝𝙤𝙜𝙞"

"𝘼𝙖𝙥 𝙮𝙖𝙝𝙞𝙣 𝙧𝙤𝙤𝙢 𝙢𝙖𝙞𝙣 𝙨𝙤 𝙨𝙖𝙠𝙩𝙚 𝙝𝙖𝙞𝙣"

"𝘿𝙤 𝙞𝙘𝙚 𝙘𝙧𝙚𝙖𝙢𝙨 𝙠𝙖𝙞𝙨𝙚 𝙠𝙝𝙖𝙪 𝙢𝙖𝙜𝙖𝙧?"

"𝘼𝙖𝙥𝙠𝙤 𝙮𝙖𝙖𝙙 𝙝𝙖𝙞 𝙖𝙖𝙥𝙣𝙚 𝙚𝙠 𝙗𝙖𝙧 𝙠𝙖𝙝𝙖 𝙩𝙝𝙖 𝙠𝙚 𝙖𝙖𝙥 𝙨𝙝𝙖𝙧𝙢𝙖𝙩𝙚 𝙗𝙝𝙞 𝙝𝙖𝙞𝙣 𝙖𝙖𝙟 𝙙𝙚𝙠𝙝 𝙗𝙝𝙞 𝙡𝙞𝙮𝙖"

"𝙈𝙖𝙞𝙣 𝙠𝙖𝙞𝙨𝙞 𝙡𝙖𝙜 𝙧𝙖𝙝𝙞 𝙝𝙪?"

"𝙎𝙖𝙧𝙞𝙢 𝙜𝙖𝙙𝙞 𝙧𝙤𝙠𝙚𝙞𝙣"

"𝘽𝙖𝙖𝙧𝙞𝙨𝙝 𝙝𝙤 𝙧𝙖𝙝𝙞 𝙝𝙖𝙞 𝙢𝙪𝙟𝙝𝙚 𝙗𝙝𝙚𝙚𝙜𝙣𝙖 𝙝𝙖𝙞"

"𝙈𝙪𝙟𝙝𝙚 𝙥𝙞𝙘𝙩𝙪𝙧𝙚𝙨 𝙘𝙡𝙞𝙘𝙠 𝙠𝙖𝙧𝙣𝙞 𝙝𝙖𝙞𝙣"

"𝘼𝙖𝙥𝙠𝙤 𝙣𝙖𝙝𝙞 𝙖𝙖𝙣𝙖 𝙩𝙤𝙝 𝙣𝙖 𝙖𝙖𝙤 𝙢𝙖𝙞𝙣 𝙖𝙠𝙚𝙡𝙚 𝙝𝙞 𝙘𝙝𝙖𝙡𝙞 𝙟𝙖𝙪𝙣𝙜𝙞"

Ab woh or bardaasht nahi kar saka usne apne haath kanu pe rakh liye or aankhein bhi bandh kar li thi.

Usne halaq main kuch kehne ki takat nahi rahi thi.

Magar phir bhi woh cheekh raha tha.

"Please Mahi mat jao"

"Please please"

"Mujhe akela chodh ke mat jao"

"Mahi please ruk jao"

_____________****______________

Fajr ka waqt hone ko aaya tha.

Lekin woh abhi bhi ro raha tha.

Uske soft toy ko haathon main liye wo chikh raha tha tadap raha tha.

Zindagi main pehle bar woh itna roya tha.

Woh sab sambhaal leta tha magar iss waqt usse kuch hosh nahi tha.

"Tumhari baatein woh zyada manegi gi, mujhse zyada mohabbat karti thi tumse."

"Tum kaho na usko woh wapas aa jaye mere paas kaho na usko. Woh kaise ja sakti hai."

Wo chup ni ho raha tha kahe ja raha tha usko apne aansuon pe ikhteyaar ni raha tha, ek bejaan chiz se apni jaan maang raha tha.

Luna bhi uske bheeg chuka tha.

"Mujhe meri Mahnoor chahiye"

Rote hue hi usse wahin pe neend aa gayi thi.

___________******_______________

Uski aankh kafi der baad khuli.

Sooraj sar pe aa gaya tha.

Uske baal bikhre the or chehre pe sookhe aansu the.

Yeh haalat pehle bhi kisi ki hui thi.

Lekin phir woh thik ho gayi thi kya yeh thik ho sakega?

Usse hila nahi ja raha tha taklif ho rahi thi.

Tabhi phone pe kisi ka text aaya.

Badi mushkil se usne phone check kiya.

𝘞𝘰𝘩 𝘮𝘪𝘭 𝘨𝘢𝘺𝘪 𝘚𝘢𝘳𝘪𝘮.

Altaf ne text kiya tha.

Woh ek or bar wahin sunn ho gaya.

"Un hone kaha ke woh mil gayi uski body nahi kaha toh iska matlab"

Woh khud se hi keh raha tha.

Jale pe kisi ne barf rakh di thi.

Zakhm pe marham rakh diya gaya tha.

Mahol main phir se hawa aa gayi thi woh ab phir se saans le sakta tha.

Uska dil ab bandh nahi ho raha tha woh ab dhadak raha tha.

𝚆𝚘𝚑 𝚔𝚊𝚑𝚊𝚗 𝚑𝚊𝚒?

Woh usse bas dekhna chahta tha.

Kuch hi der main Altaf ka reply aa gaya tha.

𝘊𝘪𝘵𝘺 𝘩𝘰𝘴𝘱𝘪𝘵𝘢𝘭 𝘳𝘰𝘰𝘮 𝘯𝘰. 75

Usne zara bhi intezaar nahi kiya or woh hospital ke liye nikal gaya.

_______________<3__________________


Aatish... (Under Editing) Where stories live. Discover now