Haseena Raat ko ghar wapis aate hai.
Karishma - Badi der kar de....
Karishma Haseena ko Towel dete hue bolte hai.
Haseena - Jii...Woh aapko bataya na case ka bhaut pressure hai, to ussi chakkar mein der ho gaye
Haseena Apne Uniform nikalte hai.
Karishma - Laaiye dhoo dungi mein kal isse
Haseena - To kal Duty pe kya phene ke jaaye hum
Karishma - Aapke dusri uniform bhi to hai na
Haseena - Uske to shirt ke saare button toote hue hai
Karishma - Pata hai, Laga diye hai humne naye button
Haseena - Ohh ... Thankyou...
Karishma - Are usme Thank you kay....Biwi hai hum aapke, yeh sab to farz hai humara
Haseena - To iss hisab se humare kuch farz hai. Isliye aapko thank you bol rahe hai. Aap deserve karte hai utna to, Kitna kuch karte hai aap humare liye, Aashu ke liye
Karishma - Bas bas ab emotional mat hoiye jaaiye fresh ho jaiye, Sab wait kar rahe hai aapko
Haseena - Jii....
Haseena Fresh hote hai, Aur Sab dinner karte hai. Dinner ke baab Karishma aur pushpa ji Kitchen mein kaam karne chale jaate hai. Taki Haseena Ammi se baat kar sake.
Haseena aur Ammi Hall mein Baithe Hue hote hai. Haseena Laptop pe case ke related kuch kaam kar rahe the.
Ammi - duty kaise Chal rahe Hai Hasu.....
Haseena - Theek ....
Ammi - Aur....
Haseena - Kyun na hum ek kaam kare, yeh formality side mein rakh kar actual issue ke baare mein baat karte hai, To .....aap kal raat Apne he Ghar ke bahar kyun the?
Ammi - Woh.....
Haseena - Jhoot to mat he boliye Ammi, warna aap hume aache se jaante hai
Haseena Laptop side mein rakhte hai.
Ammi - tere Abbu.....
Haseena - Ammi.....Sidhi sidhi baat bataye, hua kya tha kal raat
Ammi - Unhone Kuch paper par humare dastakhat liye, aur hume ghar se nikal diya
Haseena - Kaise paper the woh, kuch yaad hai aapko
Ammi - Woh....Sarkari kagaz jaisa kuch tha....
Haseena - Jiska dar tha wahi hua.....to yeh chal chali hai zubair Malik ne....
Ammi - Matlab, Thume pata tha ke yeh hone wala hai.....
Haseena - Jii.....Dada ji Ne Unke haveli humare naam kar de hai, Ussi wajah se Zubair Malik Humare Ghar aa kar rahh rahe the, Taki Humare sign le sake
Ammi - Haveli Tumhare naam kar de....
Haseena - Jii....Ammi....Unhone phele he vasihat banva le the, Uske mutabik, jis bhi Warish ka Nikaah phele hoga, Uske Phele Aulad paida hone ke baad woh Haveli uske naam ho jayege
Ammi - Tere shaadi ke baare mein humne bataya to tha unko
Haseena - Aap contact mein the unke.....
Ammi - Matlab humne unhe chitti likhi the....kuch jawab nahi aaya to humne socha....
Haseena - Tabhi woh vasihat Humare shadi ke Ek hafte baad ke date ke hai.....
Ammi - Hume laga nahi tha ke woh....
Haseena - Abhi sawal uss haveli ka nahi hai Ammi, Abhi sawal humare ghar ka....
Ammi - hume maaf kar de beta, Kaash mene tere baat sune hote
Haseena - Ab jo ho gaya vo ho gaya....
Ammi - Fir bhi....
Tabhi Karishma Hall mein aate hai.
Karishma - Suniye Ji....Aapke coffee....
Haseena - Thank you.....Aashu so Gaye.....
Karishma - Ji....Kab ke.....
Haseena - Hmmm.....Ammi aap bhi ja kar so jayie, Raat kaafi ho rahe hai....
Ammi - Aacha beta ....
Ammi pushpa ji ke room mein sone chale jaate hai.
Karishma - Hum change karne jaa rahe hai, aap bhi aa jaaiye coffee khatam kar ke
Haseena - Ji.....
Karishma bedroom mein chale jaate hai. Thodi der baad Haseena bhi bedroom mein jaate hai. Aur change kar ke bed pe late jaate hai.
Karishma - So jayie na, kitna sochenge ek he baat ke baare mein
Haseena apna seer Karishma ke chest par rakhte hai. Karishma Unke baal sehlane lagte hai.
Haseena - kitna kuch ho raha hai life mein, Soch soch ke dimag kharab ho gaya hai humara
Karishma - shant dimag se sochiye rashta apne aap mil jayega
Haseena - Hmmm.....
Thodi der baad Haseena ko nind aa jaate hai.
Karishma in her mind*
Karishma - Hey shiv ji, inke jo bhi pareshani hai dur kar dijiye, aur hume humare Haseena lauta dijiye.....Hum bas inke Chehre pe Kushi dekhna chahte hai
Karishma Haseena ke baalo par kiss karte hai, aur woh bhi so jaate hai.
Haseena's House*
Zubair - Aakhir kaar yeh ghar humare naam ho gaya, Abh dekhna Haseena Teri akad Kaise nikalte hai hum, Woh haveli bhi hum leke he rahenge, Ab dekhte jao kaise barbaad karte hai hum tumhe
Sahir - Abbu lekin yeh sab hoga kab, Aur kitna intezar karna padega, Aur uss Alien ka humare property par koi haqq nahi hai, fir bhi aapke Abbu ke wajah se.....
Zubair - Sabar Sahir sabar, Hume bas property he nahi, Uss Haseena ke pure jindagi bhi barbaad karne hai, Wardi ka bahut ghamand hai na, woh wardi he cheen lenge
That's it for today guys
Thank you for reading 🙏🙏🙏Thank you
AD
आप पढ़ रहे हैं
SHADI YA BARBADI (Completed)
FanfictionTitle se pata chal he Gaya hoga. To aayie dekhte hai humari Kareena ki arrange vali love story. Thoda pyaar, Thodi Takrar - Kya hoga Haseena ko karishma se pyaar?