guys ittu sa change hai that ishqi and khushi coffee shop me nahi kisi chai ki tapri pe hai
Let's Start
I - ab kaha se laau boyfriend... (just then a man fall on her leg... he was much injured) oh bhaisaab aap kaun hai
A man - didi bacha lijiye mujhe.. vo insaan pagal hai... kahi maar na daale mujhe
I - kaun?
A man - vo... (before he could complete his sentence a boy came there... make him stand by holding his collar)
The Boy - kya kaha tha tune.. paise nahi hai.. to ye paisa kaise aaya..
A man - maaf kar de bhai.. tu tere paise leke jaa
The boy - vo to main lene hi wala hu... tuze batane ki zaroorat nahi hai... ye ahaan veer malhotra paiso ke liye kuch bhi kar sakta hai...
(So The Boy Is None Other Than Our Ahaan The Mahan... He Does Recovery... Par Shaant Rehke Nahi.. Maar Peet Karke.. In Short He Is Vasooli Bhai)
I - mil gaya boyfriend
Kh - kaun
I - yahi jo saaamne khada hai
Kh - tu kya bol rahi hai
I - usne abhi to kaha ki vo paiso ke liye kuch bhi kar sakta hai.. dekh vaise bhi dikhne me handsome hai.. baate bhi badi badi karta hai.. to sirf kuch hi dino ka to sawaal hai... badme ye apne raaste main apne raaste...
Kh - par tune kya kahaa hai ki tera boyfriend businessman hai... agar unhe shak aaya to
I - nahi aayega... dekh sarla aunty aur maasi ko business ka kuch pata nahi hai.. vo thodi na google pe jaake search karenge ki ye businessman hai ya nahi
Kh - point hai... par ye chapri nikla to
I - ha yaar
Kh - tapri pe aaye hai to koi chapri hi milega na
I - main baat karke aati hu (she went towards ahaan who was busy in counting money) excuse me..
A - (he looked at her and was lost in that innocent face)
I - (she snapped her fingers)
A - ha.. kya hua
I - jara baithke baat kare..
A - kya baat karni hai
I - aap bethiye to sahi
A - (they both settled themselves on the bench) boliye
I - jaise ki aapne bola ki aap paiso ke liye kuch bhi kar sakte hai... mere paas ek offer hai..
A - kya offer hai
I - tumhe acting karni aati hai..
A - vo to main bahut acche se kar leta hu
I - very good... apko bas kuch din ke liye mere boyfriend hone ka natak karna hai
A - kya
I - plzz na mat boliye
A - kaisa vakt aane laga hai.. log sahi bolte hai.. ho kya gaya hai iss generation ko
I - oh hello.. ye musibat na uss generation walo ke vajah se hi aayi hai mujhpe
A - tumhari dard bhari kahani main jaan sakta hu
I - fine... batati hu (she told him everything)
A - 1 mahine ke 25,000
I - kya?
A - itne to dene padenge..
I - okay.. par month end ko hi dungi pehle nahi
A - chalega..
I - par ek problem hai
A - kya
I - jaisa maine kaha hai ki mera boyfriend businessman hai to tumhe english to aani chahiye... aati hai english?
A - ofcourse.. i can speak english.. don't worry about it.. i will handle
I - itni acchi english bol lete ho to naukri kyu nahi karte... logo se vasooli kyu lete ho..
A - that's none of your business
I - accha thik hai.. itna kyu bhadak rahe ho
A - sorry
I - its okay.. aaj shaam 5 baje kaha mile
A - kyu.. aaj kyu milna hai
I - mere baare me batane ke liye.. meri pasand na pasand
A - oh ha.. pehle introduction to dedo tumhara..
I - my name is ishqi.. ishqi sharma.. will you be my fake boyfriend Mr. Ahaan Veer Malhotra.. (she forwaded her hand)
A - yes miss sharma (they did handshake)
I - (she took out a pen and paper and wrote something and then give that to ahaan)
A - ye kya hai
I - phone number hai mera.. msg kar dena.. fir main coffee shop ka address send kar dungi.. late mat hona.. be on time.. main chalti hu (she went with khushi)
A - ajeeb ladki hai.. (he smiled)
At Coffee Shop
A - hey..
I - oh hi hello ke bacche.. 15 min late ho tum
A - sorry
I - agar kal bhi late aaye na to impression down ho jaayega
A - to vahi sahi hoga na
I - nahi.. massi ko acche se pata hai ki main kaise ladke ko pasand karungi..
A - mujhe tum plan bataav
I - plan ye hai ki jab tak meri di ki shaadi nahi hoti tab tak uske har function me tum aaoge.. hume sabko ye dikhana padega ki hum sach me girlfriend boyfriend hai.. maasi aur massa ji pe thoda accha impression paadna... fir jaise hi shaadi ho jayegi.. kuch dino baat main maasi ko bol dungi ki tumhara aur mera jhagda ho gaya aur humara break-up ho gaya.. baat khatam
A - okay
I - sabse pehle to... (she showed him her family photo) ye hai meri maasi.. inka sudha hai... ye hai mere massa ji.. jinka naam hai akash.. ye hai meri di matlab maassi ki beti sonali urf sonu di.. aur ye
A - tum ho
I - ha.. main mera introduction kyu de rahi hu.. (she showed him another pic) ye hai mere hone wale jiju.. raj.. ye inki maa sarla aunty
A - inhi ke vajah se tum phasi
I - hmm... ye hai unka beta parth.. fattu hai ek number ka.. usko bachane ke liye maine khudko musibat me daal diya... aur ye hai raj ke papa... anant uncle.. ab meri pasand... mujhe bollywood music aur movies bahut pasand hai... meri favourite film hai hum aapke hai kaun.. mera favourite gaana hai ishq wala love... currently mujhe siddharth malhotra pasand hai... mujhe chole bhature, pani puri, gulaabjamun, samosa par vo bhi hamare yaha ke tiwari ji ke haath ke hi aur paav bhaji pasand hai... i am a diabetic
A - aur kuch..
I - mere liye mere family se badhke kuch nahi hai... mujhe meri mummy ki dance academy ko bahut aage leke jaana hai.. yahi ek mera dream hai..
A - nice...
I - tumhare baare me bhi bataav na..
A - mere ghar me sirf main aur meri maa hum dono hi hai... to mere baare me batane ke liye kuch bhi nahi hai..
I - aise kaise nahi hai... tumhari hobbies bataav
A - painting
I - you are an artist
A - hmm
I - sketches banate ho
A - ha..
I - wow... mera sketch banaoge... uske alag paise dungi.. par badme.. abhi tak iss month ki fees nahi aayi hai na to fees aane ke baad pehle tumhare kaam ke aur fir sketch ke paise dungi
A - maine sketches banana chod diya hai
I - kyu?
A - ishqi i think i should leave now.. bahut der ho gayi hai... tum tumhare ghar ka address bataav... i will drop you
I - nahi main chali jaungi
A - kaha na maine ki main chod deta hu to fir kyu zid kar rahi ho..
I - ha baba aati hu... tum hamesha aise chidkuram bane ghumte ho kya
A - (he glared at her)
I - dekha abhi bhi kaise ghur ghur ke dekh rahe ho
A - ajeeb ho tum
I - vo to main hu.. unique piece
A - ishqi maata ki jay (laughs)
I - hawww... mujhe maata kaha (she started hitting him)
A - log dekh rahe hai... kya kar rahi ho
I - dekhne do... apne boyfriend ko hi maar rahi hu (stopped hitting)
A - huh?
I - i mean fake boyfriend
A - chalo chalte hai..
I - bike laaye ho
A - ha... kal car se aa jaunga
I - car bhi hai
A - ha
I - vasooli se itna paisa milta hai?
A - ha
I - waah
A - chale ab
I - sure (they came out of the coffee shop and then ahaan sat on his bike and ishqi also.. when she kept her one had on ahaan's shoulder, a current passed through his body as for the first time a girl was on his bike)
A - (then he started the bike and drove towards her home)
Soon They Reached
I - kal subah 11 baje.. bhulo mat.. aur ha late mat aa jana.. be on time
A - haan haan aur kitni baar yahi lines bologi.. ek baar kya late hua tum to lecture hi dene lagi... time pe aaunga
I - good..
A - bye
I - bye
A - (he left)
Precap - Jagraata Preparation
YOU ARE READING
Lag Ja Gale ❤️
FanfictionChildish She , Mature He Calm She , Short Tempered He Stronger She , Emotional He Careless She , Responsible He A Perfect Match ❤️ It's A Suspensive And Romantic Love Story Of Ishqi And Ahaan