Bondita: Kon hai Pari?
Prerna : Aapke dada hai.
Bondita: Hain? Dev dada aur Raghav dada toh neeche...Som dada hai kya?
Prerna frantically nodded her head.
Bondita asked her to give the phone when Naina rushed and held it.
Naina: Hello Som ji.
Bondita and Prerna laughed looking at her while Naina blushed and showed her tounge.
Som : Hello Naina..
Naina : Ji.
Som : Kya kar rhi ho?
Naina : Kuch nahi , kal haldi hai na. Toh ussi ke kapde aaye the. Wahi dekh rhi thi.
Som : Ohh acha.
Naina : Aap..Aap kya kar rhe hau?
Som : Mein tumse baat kar raha hoon aur tumhe miss kar rha hoon.
Naina: Miss toh mein bhi kar rhi hoon aapko. Pata nhi yeh teen din kaise guzrenge.
Som : Lo tumhari aur dada ki ek perfect team hogi. Jaise Bondita ke bina yahan machar ke tarah sab oar mandara rahe hai na, waise hi tum ho.
Naina : Acha. Toh aapko meri yaad nhi aa rhi thi kya?
Som : Nahi aisi baat nhi...
Naina : Rehne do aap. Mujhe aapse baat hi nhi karni.
Som : Arre Naina suno toh.
Naina: Kya hai?
Som : I love you.
Naina : Hmm.
Som : Hmm kya hota hai?
Naina : Pata nahi.
Bondita from behind : Naina puchna Pati babu wahan hai ki nahi?
Naina nodded and asked : Aye shono.
Som : Haan bolo.
Naina : Dada hai kya wahan?
Som : Pehle I love you too bolo, uske bad hi bolunga mein.
Naina: I love you too. Ab batao, dada hai kya wahan?
Som : Haan ek sec.
Som : lijiye, aapka bulava aa hi gya!
Before Anirudh could hold the phone, Batuk intervend and held the phone.
Bondita: Hello Pati..
Batuk: Pati Babu nahi, devar babu bol rha hoon.
Bondita frowned and said: Tum yahan kya kar rhe ho? Pati Babu ko phone do na.
Batuk : Nahi doonga. Pehle yeh batao ki mere liye kya kya laoge? Khaane mein!
Bondita: Bakasur ho kya? Har waqt khana khana. Pait hai yaa Kuan?
Som hit Batuk's head. Batuk frowned and looked behind ,only to see Anirudh glaring him.
Batuk: Jao Rakshasi, apne Rakshas se baat karlo. Mujhe aise ghoor rhe hai jaise ki kha jayenge.
Bondita: Mein wahan hoti toh ab tak tumhe paka bhi liya hota.
Anirudh snatched the phone and said : Hello.
Bondita: Hello Pati Babu. Uss Batuk ko na chodna mat.
Anirudh: Han nahi chodunga. Yeh batao kya kar rhi thi?
Bondita: Wahi jo karna chahiye. Intezaar.
Anirudh chuckled and said : Kiska?
Bondita: Apne Rakshas ka.
YOU ARE READING
Barrister Babu - Love or Revolution
RandomJaisa Loha lohe ko kaatta hai Waise hi uss Daur mein Ek pratha Dusri Pratha ko tod rahi thi... Prathaon ke Bhavar se Jab Niklega Toh Kaisa Hoga Yeh Rishta Anirudh Roy Choudhary - A man in his late 20s, returns from London only to change the think...